Pages

Tuesday, April 27, 2010


Keh keh kar kissa mahobaat ka ise sar-e-aam na karo
Khuda ke waste dosto aisa kabhi koi kaam na karo
Aabad rakho mahobbat ka gulistan de k lahoo ki nami
Keh k kahil muhabbat ko ise bad naam na karo

Unko apne haal ka hisaab kya dete
sawaal sare galat the hum jawab kya dete
Wo to lafzo ki hifazat bhi na kar sake
phir unke haath me zindagi ki puri kitaab kya dete

Jin Paththaron Ko Hum Ne Ata Ki Thi Dhadkane
Jab Bolne Lage To Hami Pe Baras Pade

Tuesday, April 20, 2010

Wo dastan hum bhula na sake,


Teri yadon ko mita na sake,



Bas ek tera khwab tha ankhon main,



Isaliye hum aansu bhi na baha sake..

Monday, April 19, 2010


      bharte zakhmo ko kurednaa kaha ki shrafat hai
      band panno ko fir se kholnaa kaha ki shrafat hai
      bujha aaye the jo rah k chirag apne haatho se
      unhe sare aam u jlaana kaha ki shraafat hai
      badi mushkil se suljhi hain ye uljhne mere dil ki
      unko fir se bina baat uljhana kaha ki shrafat hai
      dheere se bhi naa keh paaye jis fsaane ko ham
      use sare aam duniya ko btaana kaha ki shrafat hai
      majak pe chot khaye aise sangdil bhi nahi ham
      per chot ko majaak bataana kaha ki shrafat hai