Pages

Friday, April 30, 2010

aap ko bhuul jaaye ham itane to bevafaa nahii 
aap se kyaa gilaa kare aap se kuchh gilaa nahii.... 
shiishaa-e-dil ko todanaa unakaa to ek khel hai 
hamase hii bhuull ho gaii unakii koii Khataa nahii...

Tuesday, April 27, 2010


                      ajnabee the wo mere hamdam nahi they
Baad marne ke mere,  Jasn mana a dost
Jasn ke baad mere ghar, chale aana mere dost
Jhoom uthta tha mera dil jis dhun pe teri
aaj mayyat pe meri, woh shehnai bajana a dost.

Keh keh kar kissa mahobaat ka ise sar-e-aam na karo
Khuda ke waste dosto aisa kabhi koi kaam na karo
Aabad rakho mahobbat ka gulistan de k lahoo ki nami
Keh k kahil muhabbat ko ise bad naam na karo

Unko apne haal ka hisaab kya dete
sawaal sare galat the hum jawab kya dete
Wo to lafzo ki hifazat bhi na kar sake
phir unke haath me zindagi ki puri kitaab kya dete