Pages

Friday, July 16, 2010

AM MAD FOR HER,
BUT WHY,
I AM NOT MADE FOR HER.
aap ne sau ilzaam lagaaye hamne kuchh kaha nahi
     kaun saa sitam hai aapka jo hamne saha nahi
     ab ktu hi btaa kis trha se aitbaar karen ham tujh per
     aaj tau hame khud pe bhi bhrosa raha nahi
Suno ay chand say sathi.
abhi tum keh rahay thay na.
tumhain mujh say mohabbat ho nahin sakti
chalo maana k yeh sach hai.
magar ay chand say sathi mujhay itna batao tum.
jab mausam badaltay hain.
gulon main rang bhartay hain.
to phir kiun muztarib ho ker.
akelay pan say ghabra kr.
hawa ko raz detay ho.
mujhay aawaz detay ho.
suno ay chand say sathi.
tumharay samnay koe mera jab naam leta hai.
to phir kiun chonk jatay ho.
chalo maana tumhain mujh say mohabbat ho nahin sakti.
magar itna samajh lo tum.
jahan chahat nahin hoti.
wahan nafrat k honay ka koe imkaan nahin hota.
mera daawa hai.
chahat main jahan nafrat nahin hoti.
wahan aksar yeh dekha hai.
agar kuch waqt kat jaye.
samay ki dhool chat jaye.
to wehshat bhaag jati hai.
Mohabbat jaag jati hai !!!!

Friday, July 9, 2010

   sunke geet mere log muskuraate hain
    per mera dard wo kaha smjh pate hain
    lab pe aati tau hai dil ki baaten magar
    jhat se fir ham unhe chhupa jaate hain
    koi nahi hai yaha jo dard ko pad sake
    log kehte hain ham kitna muskurate hain
    ab kaise kahen is naadan zamaane se ki
    hnsi ke prde main ham gam chhupate hain

Monday, July 5, 2010

                         khud ke khush rehne ki duaa kaise karu
                         ye unke diye zakhm hain gila kaise karu
                        ab kisi manzil ki chaht nahi hai mujhe
                        tere bina mai manzil pe jaa ke kaya karu
                        tmaam umer ki wafaa ke ye inaam hai
                       ab is dard ki bhala mai dwaa kaise karu
                       is se pehle kaha aise sher kehte the ham
                       ehsaan teri di choto kaa adaa kaise karu
                       tere kehne pe hamne chhod diya hai tujhko
                       per teri yaado ko khud se zuda kaise karu
                      bhut chaha ki bhool jaaun mai bhi tujhko
                      per tu hi btaa tere khayalo ka mai kaya karu