Pages

Monday, October 25, 2010

Chehra Badal Liya

Teri yad na fenk saka dil se to chehara badal liya
kahin tu aaye mere samane, aur ud jaye rang tera
yahi na mujhe pasand aya, to chehara badal liya
tere gam men dil roya hoga, ab to pata nahin chalata
bhigi palaken tujhe na bhayi, to chehara badal liya
shakl se meri nafarat tumako, par mere dil me betabi hai
ab shayad tujhe dekh sakoon, ab chehara badal liya
bheed me gum hona aasan ab, koi nahin pahchanega
tum bhi mujhe bhool jaogi, jo  ab chehara badal liya.
Aankhoon ka rang, baat ka lehja badal liya,

Wo shakhs ek shaam ma kitna badal gya,

Shayed wafa k naam se ukta gaya tha wo,

Jo manzil saamne aayi to humsafar badal liya
Main kese us shakhs ko rula sakte the "Faraz"

Jis shakhs ko main ne khud ro ro kr paya tha

Tu nain kaha tha main teri
kashti pay bhoj hoon
Ankhon ko ab na dhaanp 
mujhe dobta be daikh

Boht hairan hota hon 

Kisi se jb ye sunta hon

Ke tu raton ko tanha dair tk 

Taron ki chaoun main 

Ab aksar apny ghar ki chaat 

Pe betha khawab bunta hai 

Main ye aksar sochta hon 

Tu mily to tujh se ye pochon 

Andehron se tumhari dosti 

Kesy hui humdum 

Tumhen to sham ki perchayon 

Se khof ata tha ?