Pages

Tuesday, October 26, 2010

Fakhar

Rooh Tak Jo Utar Jaye Main Woh Asar Rakhta Hoon
Tujh se Bicahr Kar G Loon main Itna Sabar Rakhta Hoon
Bhale Hi chura kar Aankheen Chupa Le kush be tu Mujh se
Jo DIl main jhank le tere main Woh Nazar rakhta Hoon
Bhale Hi ho gya Main Karobar E Duniya main nakaam
par tujh ko Pyar Tha Mujh se main Yeh Fakhar rakhta Hoon

Monday, October 25, 2010

Test

Na lab hile hai, na aankhon me ashk aaye hai,

Ham aaj kitne, saleeke se muskraye hai,

Tum apne zehan k , darwaje kholte hi rahe,

Ham aaftaab zameen, par utar laaye hai
 
Apni aankhon ke samandar main utar jaane de

tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de,
jakham kitne teri chahat main mile hain mujhko
sochta hoon k kahu tujhse magar jaane de.

Chehra Badal Liya

Teri yad na fenk saka dil se to chehara badal liya
kahin tu aaye mere samane, aur ud jaye rang tera
yahi na mujhe pasand aya, to chehara badal liya
tere gam men dil roya hoga, ab to pata nahin chalata
bhigi palaken tujhe na bhayi, to chehara badal liya
shakl se meri nafarat tumako, par mere dil me betabi hai
ab shayad tujhe dekh sakoon, ab chehara badal liya
bheed me gum hona aasan ab, koi nahin pahchanega
tum bhi mujhe bhool jaogi, jo  ab chehara badal liya.
Aankhoon ka rang, baat ka lehja badal liya,

Wo shakhs ek shaam ma kitna badal gya,

Shayed wafa k naam se ukta gaya tha wo,

Jo manzil saamne aayi to humsafar badal liya