Aa tu ke daud ke lipat jaa seene say humare
Phir ishara iss taraf say hoga, yeh umeed na rakh,
Ki ek baar mohabat ki beekh maangi thi tujh se
Baar baar sar mera jhukega, yeh umeed na rakh,
Na acha kiya tune iss dil ko thukra kar
Tujhko na koi thukrayega, yeh umeed na rakh,
Bohat he tadpaya gam ne tere humko magar
Hum yun ghut ghut ker mar jayenge yeh umeed na rakh..
Pages
Tuesday, November 9, 2010
Monday, November 8, 2010
Dobara ho bhi sakta hai
abhi jo ghum humara hai tumhara ho bhi sakta hai,
tum apnay aap ko hargiz koi ilzaam mat dena,
yeh sauda hy mohabat ka khasara ho bhi sakta hai,
na yeh samjho kay tum hi aakhri meri mohabat ho,
mohabat jurm hy hum say Dubara ho bhi sakta hai.
Chand ki simt nazar jaye to kya hota hai?
Rat kisi ki yaad mein guzar jaye to kya hota hai
Rat kisi ki yaad mein guzar jaye to kya hota hai
Kitni masoom ada se wo mujhe pochta hai
Jab koi dil mein utar jaye to kya hota hai
Jab koi dil mein utar jaye to kya hota hai
Mere Allah tu faqt itna bata de usko
Admi jeete ji mar jaye to kya hota hai
Admi jeete ji mar jaye to kya hota hai
Koi anjan se shaks ka kisi pichle pehar
Aks ankhon mein thehr jaye tu kya hota hai
Aks ankhon mein thehr jaye tu kya hota hai
Dard de k mujhe wo hansta raha or bola
Dard jab had se guzar jaye tu kya hota hai
Dard jab had se guzar jaye tu kya hota hai
Subscribe to:
Comments (Atom)