Pages

Wednesday, April 20, 2011


Bhula kar hame wo khush reh payenge
sath mein nahi to mere jane k baad muskuraye ge
Dua Hai Khuda se ki unhe kabhi dard na dena,
Hum to seh gaye par wo toot jayenge!
Jab koi khayal dil se takrata hai,


dil na chah kar bhi khamosh reh jata hai,


koi sab kuch keh kar pyar jatata hai,


toh koi kuch na keh kar pyar nibhata hai!

Friday, April 15, 2011

Laut jati hai dunia gum hamara dekhkar,
jaise lehren laut jati hain kinara dekhkar
tu kandha na dena mere janaje ko,
kahin fir jinda na ho jau tera sahara dekhkar

Thursday, April 14, 2011

A tribute to corruption

agar maine tamil nadu ka vote right paya hota,
mere haath main bhi ek laptop aaya hota,
na milta intel to koi baat nahi,
maine linux se bhi kaam chalaya hota.

hote gaadi banglow bank balance naam mere bhi,
agar jeet k election main parliament tak aaya hota,
ek chhota sa ghotala karke 1,00,000 crore ka,
maine bhi swiss bank main account khulvaya hota.

karta aish main sarkari rupeyaon par,
k har park main maine apna but lagaya hota,
jata main sabzi kharidne bhi beth k helicopter par,
k janta ki tax se maine petrol bharaya hota.

official visit k naam par main jata bangkok k beeches main,
k gori gori babes k beech tent apna lagaya hota,
ek din bech k hindustan ka kona kona maine,
UK ke kisi beech main bada banglow banaya hota. 

Tuesday, April 5, 2011

Dil tootane ka to bas bahana tha
Apni aankh me to waise bhi aansu ana tha
Toofano se to kab ke bach nikale the hum
Par bijali wahi giri jaha mera hi aashiyana tha