Pages

Monday, June 27, 2016


Mushkil Mein Jeena Jab Aada Ban Jati Hai,
Tab Khwabon Ki Duniya Berang Ban Jati Hai,
Koi Intezar Karta Hai Zindagi Ke Liye,
Aur Kisiki Zindagi Intezar Ban Jati Hai..

Nigahein Mila Kar kiya dil ko jakhmi,
Adayein dikha kar sitam dha rahe ho,
Wafaon ka kya khoob badla liya hai,
Tadapta Hua chhod Kar ja rahe ho..
Apni To Zindagi ki Ajeeb kahani hai,
Jis Cheez ko Chaha Wo Hi Begani hai,
Hanste hain Duniya ko Hasane ke Liye Warna,
Duniya Doob Jaye In Ankhon Main Itna Pani hai..

Sunday, June 26, 2016


Na tamannao ki barish hui,
aur na hasraton ka toofan utha,
Bus khwaishon ki maut hui,
aur sapno ka kafila luta,
Jahan chahat ki baat hui,
wahin mayusi ka aasra juta,
Aur jahan armaano ki baraat saji,
wahin chupke se mera dil toota….!!

Maut te vi saanu yakeen,
Unna te vi aitbaar ae,
Dekho pehle kaun aaye,
Dona da intezaar ae.