Pages

Friday, January 29, 2010


Kabi jo waqt parh jaae
Tumhein mujh se bicharna ho
Tumhein waday se phirna ho
To beshak dair mat karna
Mujhy naraz kardena
Tum apna rukh badal lena
Tum apni simt chal dena
Magar jab lot k ana
Tumhein mitti k teelay par
Main shayad na dikhaai doon
Mager heraan mat hona
Wahin 2 char qadmon par
Mazaar-E-bekran hoga
Wahan ik phool rakh dena
Aur ik shama jala dena
Aurper apna rukh badal lena
tum apni simt chal dena

No comments:

Post a Comment