Kaise utaren kahani ansuon ki inn panno per,
Ki ab andaaz bhi kehne ka bhool gaye,
Bhool gaye jaane kya kya ..
ki khud ki batein hi bhool gaye,
Bhool gaye apne ansu tak,
ki rahe dard unko bahana bhool gaye,
Bhoole un awaazon ko,
ki unhe khud ko sunana bhool gaye,
Bhoole un ankhon ko,
ki un ankhon ki jagmagahat bhool gaye,
Bhool gaye yadon ko,
Jo yaad the woh sab bhool gaye,
Bhool gaye yun khud ko,
khudi ka tana bana hi bhool gaye… !
No comments:
Post a Comment