Yoon hum ko sataane ki zaroorat kya thi,
Dil mera jalaane ki zaroorat kya thi.
Jo nahi tha ishq to keh diya hota,
Dil toor ke jaane ki zaroorat kya thi.
Maloom tha gar yeh khwaab toot jayenge,
Neend mein aa kar uthaane ki zaroorat kya thi.
Ishq par lagti rahegi har daur mein paabandi,
Ashiq ko majboor banaane ki zaroorat kya thi.
Maan loo gar yeh yak tarfa mohabbat thi,
Mujh ko dekh kar muskuraane ki zaroorat kya thi
Pages
Monday, March 22, 2010
Tuesday, March 16, 2010
it hurt yaaaaaaarr
dil ke hatthon majboor hokar,hum chal diye unse door hokar,
pata chala wo chahte hai kisi aur ko,
jab wo na mile hume mashroof (Busy) hokar,
aaj yaad aa raha hai mujhe unka saath
unki yaadon main iss trahan rokar,
main kal tak shayad na rahon,
sochta hun kya wo gujrain ge meri kabbar se hokar,
main unko iss jahan main bhi yaad karta hun,
uss jahan mainbhi yaad karunga par,
kya yaad karain ge wo mujhe kissi din rokar.
Subscribe to:
Comments (Atom)
