Tumne Chaha Hi Nahi Haalat Badal Sakte the,
Tere Aansoo Meri Aankho Se Nikal Sakte The,
Tum To Tahre Rahe Jheel Ke Paani Ki Tarah,
Dariya Bante To Bahut Door Tak Nikal Sakte The…!!
Pages
Wednesday, October 27, 2010
Dard
Abhi Woh Dard Baqi Hai,
Agarchay waqt marham hai,
Magar kuch dair lagti hai,
Kisi ko bhool jaane mai,
Dobara dil lagaane mai,
Abhi kuch waqt lagna hai,
Abhi Woh Dard Baqi Hai.
Mai kaise phir nayee ulfat mai,
Apni zaat ko kho doon,
Ke mere jism-o-wajdaan mai,
Abhi Woh Fard Baqi Hai.
Abhi uss shakhs ki mujh par,
Nigaah-e-sard baqi hai.
Abhi to ishq ke raston ki,
Mujh par gard baqi hai.
Abhi Woh Dard Baqi Hai.
Tuesday, October 26, 2010
pyar k deep jalanay walay kuch kuch pagal hotay hain,
apni jaan se janay walay kuch kuch pagal hotay hain ,
jaan se pyaaray logo se bhi kuch parda laazmi hai,
saari batain batanay walay kuch kuch pagal hotay hain ,
apni zaat k ujday gulshan bayaan kaha wo kartay hain ,
Oroon ko hansanay walay kuch kuch …..!!!

Subscribe to:
Comments (Atom)