dil-e-naadaan tujhe huaa kyaa hai
aaKhir is dard kii davaa kyaa hai
ham hain mushtaaq aur vo bezaar
yaa ilaahii ye maajaraa kyaa hai
main bhi munh main zabaan rakhataa hoon
kaash puuchho ki muddaa kyaa hai
jab ki tujh bin nahi koii maujuud
phir ye hangaamaa, ai Khudaa kyaa hai
hamako unase vafaa kii hai ummiid
jo nahi jaanate vafaa kyaa hai
Pages
Wednesday, November 10, 2010
Kaise utaren kahani ansuon ki inn panno per,
Ki ab andaaz bhi kehne ka bhool gaye,
Bhool gaye jaane kya kya ..
ki khud ki batein hi bhool gaye,
Bhool gaye apne ansu tak,
ki rahe dard unko bahana bhool gaye,
Bhoole un awaazon ko,
ki unhe khud ko sunana bhool gaye,
Bhoole un ankhon ko,
ki un ankhon ki jagmagahat bhool gaye,
Bhool gaye yadon ko,
Jo yaad the woh sab bhool gaye,
Bhool gaye yun khud ko,
khudi ka tana bana hi bhool gaye… !
Ki ab andaaz bhi kehne ka bhool gaye,
Bhool gaye jaane kya kya ..
ki khud ki batein hi bhool gaye,
Bhool gaye apne ansu tak,
ki rahe dard unko bahana bhool gaye,
Bhoole un awaazon ko,
ki unhe khud ko sunana bhool gaye,
Bhoole un ankhon ko,
ki un ankhon ki jagmagahat bhool gaye,
Bhool gaye yadon ko,
Jo yaad the woh sab bhool gaye,
Bhool gaye yun khud ko,
khudi ka tana bana hi bhool gaye… !
Jab usko meri yaad ayaa karegi
Tab vo meri gajal gungunaya karegi
Uthkar dekhegi kabhi tasveer meri
Phir use sine se lagaya karegi
Jab bhi najar aayegi meri nisaniya
Unko daman main chhupaya karegi
Beete dino ki beeti kahani
Chhup chhup ke geron ko btaya karegi
Rakha hai jo usne andhre main “Bharat”
Bhul par apni pchhtaya karegi…
Tab vo meri gajal gungunaya karegi
Uthkar dekhegi kabhi tasveer meri
Phir use sine se lagaya karegi
Jab bhi najar aayegi meri nisaniya
Unko daman main chhupaya karegi
Beete dino ki beeti kahani
Chhup chhup ke geron ko btaya karegi
Rakha hai jo usne andhre main “Bharat”
Bhul par apni pchhtaya karegi…
Subscribe to:
Comments (Atom)