Duayen apne muqadar ko de raha hoon main
nazar ke samne sahil hai doobta hoon main
mere nishaat ki duniya ujadne wale
tamam shab tujhe pahlu mein dhondhta hoon main
hareem e naaz ki rafat are maaz allah
dua laraz ke pukari ki narasa hoon main
kabhi hawa jo unheen mere dard ka ihsaas
mera naseeb pukara ki dekhta hoon main
aj kyamat aake kya bigade gi
ki maut aane se pahle hi mar chuka hoon main
No comments:
Post a Comment