Lagta nahi hai dil mera, ujjray dayaar mein
kiski bani hai aalm-a-napayedaar mein
bulbul ko baghbaan se na sayyad se gila
kismat mein qaid thee likhi, fasl-a-bahar mein
keh do in hasrton se kahin aur ja basein
itni jagah kahaan hai, dil-a-dagdaar mein
umar-a-draaz maang kar laaye thay chaar din
do arzoo mein kt gaye, do intezaar mein
No comments:
Post a Comment