jab kabhi mujh ko ghame dahar ne nashad kiya
aye ghame dost tujhe main ne bahot yaad kiya
ashk bah bah ke mere khak per jab girne lage
main ne tujhe tujh ko tere daman ko bahot yaad kiya
qaid rakha mujhe saiyaad ne kah kah ke yahi
abhi aazad kia , bas abhi aazad kiya
haye ow dil mujhe us dil pe taras aata hai
tune barbad kiya jis ko na aabad kiya
tujh ko barbaad to hona tha baharhaal Khumar
naaz kar naaz ki us ne tujhe barbaad kiya
No comments:
Post a Comment